Kabhi socha hai kya, barish kyun bhaaye
Kyun geet be-vajah, hothon pe aaye
Kyun achhi lage talwon mein lehren
Kyun bhatke kadam ik pal na thehre
Ye sab ishaare hain sang jo hamare hain
Dil ne sawaare hain pyar ke liye
Dil ki shaakhon pe dalte hain kyun jhoole
Khushboo kyun kisi ki saanso ko na bhoole
Hoth thar-tharate kyun par na bataate kyun
Unki na-nukur bhi hai pyar ke liye
Kabhi socha hai kya, barish kyun bhaaye
Kyun geet be-vajah, hothon pe aaye
Ye sab ishaare hain sang jo hamare hain
Dil ne sawaare hain pyar ke liye
Aisa kyun lage hai jaise kuch adhura
Wo chaand hai mukammal kyun na lagta poora
Aankhon ki seepi mein khwaabon ke moti hain
Moti taraste hain pyar ke liye
Kabhi socha hai kya
Kabhi socha hai kya, barish kyun bhaaye
Kyun geet be-vajah, hothon pe aaye
Ye sab ishaare hain sang jo hamare hain
Dil ne sawaare hain pyar ke liye